INAAYAT LYRICS - TANZEEL KHAN

INAAYAT LYRICS - TANZEEL KHAN

Singer TANZEEL KHAN
Song Writer Tanzeel Khan


Inaayat Lyrics

Meri yeh dono aankhein
Dhoondhe tujhi ko aise
Jaise hai tujhse hi ab vaasta

Doori na tere mere
Darmiyan yoon chahun
Phir bhi na jaane kyun hai faasla

Par na meri hai zamin
Na mera aasmaan

Main jaaun jahan bhi
Main dekhun tujhi ko
Yeh kaisa nasha sa

Tu meri hi thi
Aur meri hi rahe
Main jaaun jahan bhi
Duayein yeh maangun
Hamesha hi rozana

Jaaga raha teri yaadon mein main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu

Jaaga raha teri yaadon mein main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu

Meri inaayat tu
Meri inaayat tu

Mujhmein samaye tu
Tera main hoon aise
Jaise unn baadalon ka aasmaan
Jin kahaniyon mein
Maujoodgi na teri
Feeki har ek woh daastaan

Tu meri hai raahi
Sun meri zubaani
Main jaaun bhi
Main dekhun tujhe ko
Yeh kaisi kahaani

Mera kuchh bhi nahi tha
Main tha yoon akela
Bhoola saare ghamon ko
Jo mere jahaan mein tu laaya savera

Jaaga raha teri yaadon mein main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu

Jaaga raha teri yaadon mein main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu

Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu

Sar pe chadhi hai tu
Kuchh ab yoon mere
Baatein teri galat bhi
Ab sahi lagein
Kehti hai tu na hai koyi pari magar
Mujhko to jannat tera ghar lage



Post a Comment

0 Comments

close